BABRI MASJID KA SACH BABRI MASJID
1- 1528 me mir baki ne babri masjid
banwayi aur namaj ka silsila chalu hua,
Tuzk Babri aur Babarnama me ki mandir
ko todne ka zikr nahi hai.
2- 1575 me tulsidas ne ramcharitra manas likhi magar kisi bhi mandir ke
todne ka varnan nahi kiya.
3- babar ke katu alochak aur uske
samkaleen guru nanak ne bhi mandir
todne ka varnan nahi kiya jabki nanak neayodhya me kuch samay bitaya tha. 4- 1857 me masjid ke bagal me deewar
utha kar khali plot me se 1 hissa hinduo
ko de diya.
5- 1883 ki may month me hinduo ne us
hisse me mandir banana chaha magar
govt ne permission nahi di. 6- 1885 24 dec. Ko court ne hinduo ki mandir banane
ki arzi radd kar di, hinduo
ne khud use babri masjid likha us samay
tak hinduo ka babri masjid par ko dawa
nahi tha.
7- 1886 26 march ko court ne hinduo ki appeal bhi kharij kar di.
8- 1877 pahli bar faizabad grant ne
H.R.NAVAIL ne bina kisi sakshaya ke ye
note chadhaya " 1528 me babar ne 1
hafta ayodhya me bitaya,mandir
dhahaya aur masjid ka nirman kiya" jabki itihasik tathyo ke anusar babar kabhi
ayodhya gaya hi nahi.uska ayodhya se
nikattam prawas 110 k.m. Door tha jaha
se wo guzra tha.
9- 1934 hindu-muslim dango ke dauran
babri masjid ko nuksan pahuncha. 10- 1949 22 dec. Ki rat me masjid ke andar
murtiya rakh di gai. 23 dec.ko
court ne tala dalwa diya,musalmano ke
pravesh par rok aur hinduo ko pooja ki
anumati dekar pahli bar masjid vivadi
bana di gai. 11- 1950 16 jan. Ko musalmano ne
masjid bahali ke liye court me sampark
kiya, magar court ne murti na hatakar
hinduo ke puja-path ko barkarar rakha.
12- 1951 1 july ko court me
dy.comissioner s.p. Ka bayan ki yeh babri masjid hai aur musalman 1925 se 1949
tak yahan namaz ada karte rahe hai.
13- 1986 27 jan ko faizabad court me
hinduo ne babri masjid par kabze hetu
arzi di. 28 jan ke court adesh hua ki
tamam cases high court transfer ho gaye isliye arzi radd ki gai. 14- 1986 30,31 jan
ko order ki khilaf district judge ke yahan
appeal ki gai.musalmano ne bhi arziya di
sab radd kar di gai.
15- 1 feb ko high court ki parwah na
karte hue district judge ne 4:45 par tala kholne ki anumati de di. 5:12 par tala
khola gaya aur puja-path
shuru kar diya gaya, 2 baje se hi faizabad
me P.A.C. ki 7 company tainat kar di gai
thi muslim ilaako ko gher liya gaya aur
raat me t.v. Par puja aur darshan telecast kiya gaya nateeje me india me dange
bhadak uthe.
16- 1989 nov me high court ne babri
masjid se mili hui jagah ko jyo ka tyo
rakhne ka adesh diya kintu usi jagah par
shilanyas ki rasam ki gai. 17- 1990 sep. Me advani dwara hinduo
ko bhadkane hetu somnath se ayodhya
tak rath yatra ka program. 23 oct ko
bihar ki lalu parsad govt ne advani ko
arrest kar liya.
18- 1991 oct me govt ne masjid ki 7.22 acre zameen aquire kar li.
19- 1991 nov. Me supreme court ka u.p.
Govt ko order ki masjid ko jyo ka tyo
rahne diya jaye. 20- 1992 may se july tak
kalyan singh ke netratva wali b.j.p shasit
u.p.govt mandir banane ke liye vivadit jagah par nirman karya jari rakhti hai. 22
july ko supreme court ke sakht adesh
ke jawab me govt apni vivashta prakat
karti hai parantu nirman karya jari rahta
hai. Nov me u.p.govt aur sampradayik
sangathan supreme court ko yakeen dilate hai ki ko nirman karya nahi hoga,
babri masjid surakshit rahegi aur uski
suraksha ki jayegi.
6 december ko u.p. Govt ki sarparasti,
central govt ki maun sweekriti aur
sampradayik partiyo ki shah par pahle se tai plan ke tahat sampradayik n
ugrawadi karsewak 5 gahnte ne babri
masjid ko shaheed kar dete hai.
23. AK REPORT KE ANUSHAR AYODHYA
CITY KE 23 MANDIRO KE PUJARI KA DAVA
HAI KE BHAGWAN RAM KA JANAM YAHA PAR HE HUVA HAI ( MATLAB HAR MANDIR
KA PUJARI YAHI BOL TA HAI KE
BHAGWAN RAM KA JANAM UN KE HE
MANDIR ME HUVA HAI ) Jo Yeh Kahte Hain
Babri Masjid Mandir
Tod Kar Banai Gai Hai Unse Bada Jhoonta Koi Nai Hai....
No comments:
Post a Comment