Thursday, March 21, 2013

Diabetes

Duniya me sabse zyada Diabetes ke rogi bharat me hain. Diabetes ek la-ilaaj beemari hai ek baar ho jane ke baad Diabetes kabhi thek nahi hota, is beemari ke ho jane ke baad rogi ko thoda sa kaam Krne pe he bahot thakan mahsus hone lagti hai, aankhe kamzor hoti jaati hain agar dhyan na diya jaay to rogi andha b ho sakta hai, shareer par phode phunsiyan ho jaati hain jo kai kai maheeno tak thek nahi hote, iske alawa rogi ki yaun kshamta bhi kam hoti jaati hai aur wyakti baanjh-pan ka shikar ho jata hai

Aamtaur par mana jata hai ki Diabetes mote, umrdaraz aur sharirik shram na karne walo ko hota hai, halanki ye bhi ek bada fact hai, magar dekha gaya hai ki Diabetes duble patle logo, jawano aur baccho ko bhi wyapak rup se apni giraft me leta ja raha hai

Diabetes jis bhaynkarta ke sath bharat me phaila hai wo dekh kr yaqeen ho jata hai ki bharatiy logo ke rahan sahan me he Diabetes ke phailne ka kaaran chhupa hua hai

Institute of Genomics and biology Intigretiv ke Dr. Shantanu Sengupta ne bataya ki shareer me vitamin B-12 ki kami se Diabetes ka khatra paida ho jata hai vitamin B-12 ki prapti ka sabse accha sadhan Mansahari Bhojan hai, jabki bharat me log badi sankhya me shakahari hain. sambhavtah ye ek bada kaaran hai duniya me sabse adhik Diabetes rogi bharat me hone ka

Aur jaisa ki aam taur par log jante he hain sharirik shram ki kami ke chalte jin logo ki kamar ka ghera phail jata hai wo log saralta se Diabetes ke shikar ban jate hain . Baharhaal ek fact ye bhi hai ki niyamit rup se namaz padhne walo ki kamar nahi phailti jis kaaran wo Diabetes aur dusri kai khatarnak bimariyo se bache rahte hain . afsos to un muslimo pe hai jo namaz ko ek bandhan maankar is se bhagte rahe aur aaj Diabetes jaisi khatarnak bimari ke shikar bn gaye hain

No comments:

Post a Comment