Wednesday, March 20, 2013

¤ILM-E-DIN AUR ILM-E-DUNIYA HASIL KARO ¤

¤ILM-E-DIN AUR ILM-E-DUNIYA HASIL KARO ¤

Aaj ka Muslemaan Apne Aaj(Present) ko Bhula kar,Uske Peeche Bhaag Raha hai.

Jo us k bus Mein Nahi hai.

Yehi Wajeh hai ki Aaj Duniya mein Muslemaan Hairaan Aur Pareshan hai.

Lekin Usne kabhi Nahi Socha ki Woh Amaan Aur Sukoon ki Zindagi kaise Guzar Sakta hai.

Jab woh khude Pareshaan Aur Hairaan Shaakh baana Huwah hai.

Us Muslemaan se yeh Umeed nahi ki Jaa Sakti ki Woh Apni Maut Aur Akhrat ko Durust kar Sake ga Ya nahi.

Agar Woh Aisa Soche ki bina Aaj ko Sawarkar Apna Future sawaar laega toh Us se bada Gaflat mein Zindagi Jeene Waala Bewakuff Insaan koi nahi.

Aisi Zindagi se Na Uska Bhaala Hoga Aur na Islam ka.

Isiliye Aye Muslemaano Gaflaat ki Zindagi se Bhaahar Aao Aur Sachaiye ko Pehchano,Tabhi Aapki Maut Aur Akhrat Saawar Sakti hai.

No comments:

Post a Comment