Islam mein auraton (women) ke adhikar.
---------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ka janam Arab mein hua tha. Arab mein aurato par bahut atyachar kiye jaate the. Jis kisi ke yaha ladki peda hoti thi woh bahut sharm mehsus karta tha aur zyadatar log ladkiyo ke paida hote hi zinda gaad diya karte the. Aurat ko sirf ek manoranjan ka sadhan aur apni daasi hi samjha jaata tha, unko kharida aur becha jaata tha. Lekin Jab Islam aya to poore Arab mein ladkiyon par is tarah ke atyachar ko band kar diya gaya aur unko kai aise adhikar diye gaye jo Arab mein kabhi nahi diye gaye the. Islam mein aurton ko jo izzat aur adhikar diye gaye hain unmein se 'kuch' neeche bataye gaye hain.
Maa ke roop mein
1. Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne kaha ki maa (mother) ke per ke neeche jannat hai, yaani agar maa ki sewa karoge, uski agya ka palan karoge aur usko khush rakhoge to Allah khush hoga aur tumko jannat milegi.
2. Jab koi insan apne maa-baap ka dil dukhata hai to Allah ka arsh (jis takht par Allah betha hai) hil jata hai yaani Allah ko gussa aa jaata hai.
3. Kisi ne Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) se poocha ki mein sabse zyada accha vyawhar/behaviour kiske saath karu, aapne jawab diya tumhari maa se, unhone poocha phir kon, phir jawab mila tumhari maa, unhone poocha phir kon, phir jawab mila tumhari maa, unhone poocha phir kon, jawab mila tumhara baap.
4. Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne kaha ki agar meri maa zinda hoti (aapki maa ka intekal/death jab aap 7 saal ke the tab hi ho gaya tha) aur mein namaz padhna shuru kar deta is beech mujhe meri maa kisi kaam se pukar leti to mein apni namaz chhod kar uski baat sunne chale jaata (note - Islam mein bagher kisi bade karan ke namaz ko beech se chhodna mana hai)
5. Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne kaha ki tumhari khala (mosi) se bhi utni hi mohabbat aur izzat kiya karo jitna apni maa se karte ho.
6. Maa ki dua aur baddua dono Allah bahut jaldi sunta hai.
Beti ke roop mein
1. Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne kaha agar kisi insan ke yaha 3 betiya ho aur woh un tino ko acche se education de aur unki acchi jagah shadi kar de to aisa insan jannat mein jayega. kisi ne pooch ki agar kisi ke ek hi beti ho to Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne jawab diya ki woh bhi jannat mein jayega.
2. Hadis mein aya hai ki Allah jab kisi insan se khush hota hai to uske yaha beti deta hai.
3. Hadis mein aya hai ki Allah jab kisi insan ke yaha beti deta hai to uske rozgar mein tarakki de deta hai.
Biwi ke roop mein
1. Jo haq ek aadmi ka apni biwi par hai wahi haq biwi ka apne aadmi par hai.
2. Quran mein kaha gaya hai ki - Aur unse (Aurato) se Achcha bartav karo. (Surah Nisa,Aayat 19)
3. Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne kaha humme subse bura aadmi wo he jo apni biwi ko sataye. (Tibrani sharif)
4. Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne kaha tum me wo log achche he jo apni biwiyo ke sath achche he.
5. Islam ka yeh rule hai ki jab kisi ki shadi ho to ladki walo ko khana karne ki zaroorat nahi aur naa hi dahez ya gift ki un par pabandi hai, balki ladke ko shadi ke foran baad ek fix amount (mahar) apni biwi ko dena zaroori hai (us amount ka biwi jo chahe kare) aur shadi ke baad khana karna (walima) bhi ladke walo ko zaroori hai.
6. Koi aurat apne shohar (pati) se pareshan ho to woh talakh (divorce) maang sakti hai.
Islam mein ladkiyon ki education par rok nahi hai. Jesa upar (Beti ke roop mein, point 1) bataya gaya hai. Bas jawan ladkiyon ko Islam ke anusar 'Hijab' mein rahkar ghar se bahar nikalna hai, aaj hijab/parda ko poori duniya galat samajh rahi hai lekin hum apne dil par haath rakh kar pooche ki kya koi jawan ladki hamare saamne aati hai to hamari nazar uske badan par nahi jaati. Kya koi baap, Pati, beta ya bhai is baat ko bardasht kar sakta hai ki koi dusra uski maa, bahan, biwi ya beti ke badan ko dekhe. Islam mein parda is burai se bachane ke liye hi bataya gaya hai, Parda/hijab matlab aisa kapda pahan lena jisse ladki ke badan ka shape na dikhe, jab badan hi nahi dikhega to buri nazar kese padegi. Islam mein agar aadmi bhi aurat par buri nazar daalta hai to woh bhi gunahgar hai, isliye jab aurat parda/hijab mein rahegi to aadmi bhi buri nazar nahi daal payega. Islam mein aadmi ko apni nazar par kaabu rakhne ko kaha gaya hai. Aaj se kuch saal pehle tak India hi kya, India ke aas pass bhi aurat ka zewar (gahna) sharm aur haya ko maana jaata tha. Aaj bhi hamare gaon (villages) mein us purane bharat ki jhalak dekhne ko mil sakti hai, lekin aaj western culture ne hum logo ki soch ko badal diya hai, kyonki asatya ko jab baar-baar chillakar bola jaata hai to ek din woh bhi satya lagne lagta hai, western culture mein hum dekhte hain ki aadmi to poora court-paint-tie se dhaka hota hai aur aurat short kapdo mein rahti hai. Western culture ki har party mein yahi haal hota hai, balki aajkal to hamare yaha bhi yeh dekhne mein aata hai ki jo aurat (women) jitne kam kapde pehanti hai usko utna hi modern samjha jaata hai. Agar kam kapde pehanna hi modernism hai to hum se zyada modern to jaanwar (animals) hain ki woh kapde hi nahi pehante. Hum khud soche ki woh sanskriti zyada acchi hai jismein women ki izzat ki jaati hai aur unko poore kapde pehnaye jaate hain ya wo sanskriti jismein auraton ko ardh nagn (half naked) kiya jaata hai. Islam mein aurat hi nahi aadmi ko bhi aise kapde pehanna mana hai jisse badan ka shape ya badan dikhta ho.

No comments:
Post a Comment