Thursday, March 21, 2013

khairat

kya aapne apne kisi bhi marhum ki taraf se sadqa wa khairat kiya..? agar nahi to zarur kar le kyu ki ho sakta hai aapke is amal ki wajah se unki qabron mein rahmaton aur barkaton ka nuzul ho jaye.
JAZAKALLAHU KHAIRAN

Umme Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki ek shakhsh ne RASOOLALLAH sallallahu alayhi wasallam se pucha ki meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhe baat karne ka muqa milta to wo kuch na kuch khairat karti. agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhe iska sawab milega.?
AAP sallallahu alayhi wasallam ne farmaya haan milega.
(Sahih Bukhari :jild-, hadees-1388)

No comments:

Post a Comment