*******************
HIQAYAT:-
**********
Ek Shaks Sote May Hamesha Peshaab Kerdiya
Karta Tha! Uski Biwi Ne Usse Kaha Ki Yeh
Aapko Kya Hogaya Hain Ki Har Roz Bister Per
Peshaab Kerdete Hain! Usne Kaha Ki Main Har
Roz Shaitaan Ko Dekhta Hoon Ki Mujhko Sair
Keliye Lejata Hain! Jab Mujhko Haajat Hoti
Hain To Kisi Jagah Baithaker Kehta Hain Ki
Peshaab Kerlen! Main Peshaab Kerdeta Hoon!
Biwi Ne Kaha Ki Shaitaan To Jinnaat Mayse
Hain, Ab Wo Jab Aaye To Usse Kehna Ki Hum
Faka May Rehte Hain! Humko Kahin Se Rupiya
Dila De! Usne Kaha Bahoat Accha Ab Agar
Khwab May Aaya To Zarur Kahunga!
Roz Ki Tarah Shaitaan Khwab May Aaya, Usne
Kaha Ki Kambakhat! Tu Mujhko Hamesha
Peshaab Karata Hain! Hum Pareshani May
Mubtala Rehte Hain Humko Kahin Se Rupiya
Nahi Dilata? Shaitaan Ne Kaha Ki Tune Mujhse
Pehle Kyon Nahi Kaha? Main Tujhe Bahoat
Rupiya Dila Duga!
Garz Yeh Ki Shaitaan Use Ek Jagah Legaya
Aur Wahan Se Bahoatsa Rupiya Usse Uthwa
Diya! Us Rupiye Ka Is Qadr Use Boaj Mehsus
Hua Ki Boaj Se Pakhana Nikal Gaya!
Jab Aankh Khuli To Bister Per Pakhana
Maujudh Hain Magar Rupiya Nahi Hain!
(Mah-A-Taiba January 1954)
******************************
SABAK:-
*********
Is Aalam Ki Misaal Aalam-A-Khwab Ki Si
Hain! Duniya Ka Taalib Khwab Dekhne Ki
Tarah Hain! Maal-A-Duniya Ki Misaal Pakhana
Ki Si Hain! Is Waqt Hum Khwab-A-Gaflat May
Nahi Jaante Ki Kya Jama Ker Rahe Hain! Jab
Aankh Khulegi Yani Maut Aayegi To Us Waqt
Malum Hoga Ki Maal To Nadaradh Hain Aur
Pakhana Yani Gunah Maujudh Hain!
******************************
No comments:
Post a Comment