Thursday, March 21, 2013

mansahar

Bahot se log kahte hain ki Islam isliye bura hai kyonki isme mansahar hai aur jeev hinsa hai ; halanki shakahar ki shiksha keval Jain dharm me hai baki dharm wale Islam pe bevajah aakshep lagate hain jabki un ke dharm granth khud mansahar ki shiksha se bhare pade hain, chaliye aap sabhi shakahar samarthako se 5 yaksh prashn :-

1- Aaj ye khuli haqeekat hai ki tamam ped paudhe buddhiman jeevit praani hote hain, bin jeevan ke kisi vastu ka aakar, bhaar badh jana uska vansh badhna sambhav nhi hai. to jise jeev hinsa se bachna hai usy phal sabzi aur anaaj bhi nahi khana chahiye

2- Registani aur dhruviiy kshetro me jahan ped paudhe na ke barabar hote hain, vahan ek poorn shakahari insan zinda kaise rahega ? kyunki vahan jo vanaspati ugti hai wo insano ke khane layak nhi hoti aur dusri baat, us vanaspati ko kha kr vahan ke janvar zinda rahte hain agar wo vanaspati insan kha lenge to vahan ke janvar kya bhooke nhi mar jayenge ? kya ye jeev hinsa nhi hogi ??

3- Adhik tar khane peene ki cheezo me zinda jeevanu rahte hain yahan tak ki hawa, pani aur hamre muh me bhi aur har khane peene ke sath ye zinda jeevanu hamare pet me jaate rahte hain . in lakho jeevo ki hinsa se shakahari log kaise bachenge??

4- Kya shakahari log jeev hinsa nhi karte ? kya unki sabzi bhaji bina janvaro ko mare aa jati hai ?? yad rakhiye ki pracheen kaal se le kr aaj tak kheti me keet nashak zahar daal kr lakho karodo keedo ki jaan lee jaati hai tab ja ke anaaj aur sabzi ug paati hai !! bhala ye kaisi ahinsa hai aap shakahariyo ki ?

5- Aaj jab duniya ki 95% se bhi adhik abadi mansahar par nirbhar hai tab bhi duniya me anek jagaho ke logo ko pet bhar khana nahi mil pata kyunki maang ke mukable sabzi aur maans aadi ka utpaadan kam ho pata hai. agar duniya ke sare log mansahar chhor kr sabzi khane lag jaayn to unke liye badhi matra me sabzi aur zinda bach gaye janvaro ke chaare ka utpaadan kaise aur kahan hoga ?

No comments:

Post a Comment