[1] Quran★
Kya tumhe nahi pata ki aasmano aur zamin ki badshahi ALLAH ki hi hai aur ALLAH ke siwa tumhara koi bhi himayati aur madad karne wala nahi hai
(para-2 sureh-Al-bakra Ayet no. 106)
★
[2] Quran★
Jo log Eman laye aur hijrat ki aur ALLAH ki rah me apne maal aur apni jano se jihad kiya ALLAH ke liye (unke liye) bada darza hai Aur wahi hai jo murad (Kamyabi hasil) karne wale hain (Para-10 sureh-at-tawba Ayt no-20)
★
[3]Quran★
Jo koi akhirat ki kheti chahata hoga, ham use uski kheti me (Barkat) karenge. Aur jo koi duniya ki kheti chahata hoga, use usme se denge aur uska akhirat me koi hissa nahi. (para – 25, sureh – As-sura, AYet no – 20)
★
[4] Quran★
Apne rab (ALLAH) ki mano is se pahle ki ALLAH ki or se woh din aa jaye jo talne wala nahi. Us din tumhare liye na koi panah ki jagah hogi aur na (Apni safayi me) tum koi awaz utha sakoge.(Para – 25, Sureh – Assura, ayet no. 46)
★
[5] Quran★
To jis kisi ne sarkashi (badmashi) ki hogi aur duniya ki zindagi ko tarzeeh di(duniyavi zindagi ko pasand kar liya hoga) to beshak bhadakti aag hi thikana hai. (para – 30, sureh – an-naziyat, ayet no – 37-39)
No comments:
Post a Comment