Sunnat ke baare me aap sab ko kuch batana chahta hun,
Ye sach hai ki sunnat ki azmat bayan kar pana hamare bas ki baat nahi par post jarur parhen-
wo noorani aur paakiza tareeka jis par hamare Aaqa Mohammad s.a.w. Amal karte the Sunnat kahlata hai.
Sunnat ek aisa amal hai jo khud Allah pak ko pasand hai.
Hamara Deen kya hai Allah ki Ibadat karna aur Sunnaton par amal karna.
Is me koi shak nahi ki Islam ke jaruri arkan sunnaton me shamil hain.
Sunnat na sirf Deen ke hisaab se faydemand hai balki science bhi ise faydemand batata hai.
Beshak Kalma parhne wala us par yakeen karne wala musalman hai par Momin banne ke liye Sunnaton par amal karna hi hoga.
Sahih hadeeson se sabit hota hai ki asal Aashiq e Rasul wo hai jo sunnaton par amal kare.......
Sunnat jannat tak ki rah hai.
Sirf I am proud to be a muslim kahne se kuch nahi hoga Deen ko apni jindgi me aise dakhil kar lo ki aap ko dekhne wala khud kahe
Alhamdolillah He/She is a muslim..........
Sunnat kya hain,Deen kya hai?
Ye janne ki koshish karen.
No comments:
Post a Comment