Judai ke anso rulati hai beti, jab bhi naya ghar basati hai beti
Bachpan jawani ke guzray hue pal, maa bap ko sunp jati hai beti
Maa ki jigar ka tukra hai ye, dukh mei sukh mei hansati hai beti
Mushkil mei maa ka sath na choray, maa ka hath batati hai beti
Bhai pekhud ko qurban karde, bahane se usko bachati hai beti
Takleef ghar mei hojai kisi ko, dorti gahi pani lati hai beti
Bachpan ki yadein sambhal ke rakhay, tabhi toh sabhi ko bhati hai beti
Jab bhi pukara kabhi bhi kisi ne, je keh keh dori aati hai beti
Samjho tohhai eik nimat Khuda ki, barson ke ruthay manati hai beti
Khuda ki rehmat ka ye roop hay, hatheli pe sarson ugati hai beti
Beti se biwi phir maa hai ye, qadam pe qadam aage jati hai beti
Uth ti hai doli babul ke ghar se, arsh Ilahi hilati hai beti
Jis ghar mei rakhti hai apna qadam, khushiyan har su philati hai beti
Sajan ke ghar sajane ke khatir, maa bap ka ghar thukrati hai beti
Roti hai sakhiyan aur sune ghar, pechay jinhein chor jati hai beti
Budhape mei maa bap phirse hai tanha, qudrat ka likha nibhati hai beti
Ajar iska pai ga tu apne Rab se, tere ghar se luqmah jo khati hai beti
Beti ke badle janat milegi, goya ke janat dilati hai beti
Kabhi Ayesha aur Hafsa hai ye, kabhi Fatima bann dikhati hai beti
No comments:
Post a Comment