ham Bahot waqt se dekh rahe hain ki musalman aapas me he ek dusre ke firqo pe bahot he gande ilzamat laga kr ladte rahte hain . ye log khud ko jannati aur baakiyo ko Allah aur Rasool ka gustakh batate hain, jin gustakhiyo ke ilzaamat laga kr ye log ek dusre ke firqo par gaali galauch krte rahte hain, in logo ne dusre firqo me khud apni aakho se un buraaiyo ko nahi dekha, balki dusre firqo ki kuch kitaabo me unke maulviyo ne wo gustakhiyan dhoond ke apne firqe walo ko bata di aur firqe wale chal pade ladne . halanki ye tamam ilzaamat agar koi khoj krta hai to jhoote milte hain kitaabo me likhi kisi baat ko tod marod ke usy Allah aur Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ki shaan me gustakhi mashhoor kar ke musalmano ko aapas me khoob ladwate hain ye maulvi
lekin ye tamam log jo bina pura sach jane apne he musalman bhaiyo pe jhoote ilzamat yani Bohtan laga rhe hain ye jaan len ki ye bahot sangeen gunah me mubtila ho chuke hain
Hazoor S.A.W ka irshaad-e-pak hai k “kissi bhai ki peeth pichay burai bayan mat karo kyu ki agar wo bat us me hai to ye “gheebat” hai or agar nahi hai to “ Bohtan ”. [aur Bohtan lagaane ka azaab Gheebat se bhi badtar hota hai]
#4856, Abu Dawud, Kitab al-Adab (Book of Manners)
jo shakhs dusro pe bohtan yani jhoote ilzaam lagaya krta hai us pr kabr ka azaab lazim ho jata hai aur wo kabr me takleefen jhelta hai . iska pata hame Bukhari sharif ki in tamaam hadiths se chalta hai .
(Book #4 , Hadith #215 )
(Book #4 , Hadith #217 )
(Book #23 , Hadith #443 )
(Book #23 , Hadith #460 )
(Book #73 , Hadith #78 )
(Book #73 , Hadith #81 )
Jo insan dusre logo pe jhoote ilzaamat lagaya krta hai aise insan ki ibaadaten bhi uske kaam nahi aayngi aur uski ibadat ka sawab usy na milkr us shakhs ko milega jis par usne jhoote ilzaam lagaay honge . ye likha hai Muslim sharif kitab-32, hadith- 6251 me
To yeh saaf hai jin logo ne bhi bina pura sach jaane kisi bhi musalman pr is tarah ke ilzaam lagaaye hain wo nuksan me hain, aur kabr ke dardnak azab ki taraf badh rahe hain
No comments:
Post a Comment