:: Hazrat Imam Husain radiallahu anhu Ahad-e-Nabvi me ::
Huzoor Nabi-e-Kareem sallallahu alayhi wasallam apne lakhte jigar Imam
Hasan radiallahu anhu ki tarah Hazrat Imam Husain radiallahu anhu ko
bhi bahot zyada pyaar wa mohabbat farmate the. unki ma'amuli se
ma'amuli taklif se bhi Aap bekarar ho jaaya karte the aur unko dekhe
bagair Aap ko sukun na aata tha. Aap rozana unko dekhne ke liye Hazrat
Fatima radiallahu anha ke ghar tasrif le jaate the. ek roj ka waqiya
hai ke :
Hazrat Abu Huraira radiallahu anhu riwayat karte hai ki hum
RASOOLALLAH sallallaho alayhi wasallam ke saath safar me the aur ek
mukaam par Hazrat Hasan aur Hazrat Husain radiallahu anhu ke rone ki
aawaz aayi to Aap sallallaho alayhi wasallam ne Hazrat Fatima
radiallahu anha se wajah daryaft farmayi to Hazrat Fatima ne arz kiya
ki ye pyaas se ro rahe hai. Aap sallallaho alayhi wasallam ne nida
farmayi ke kisi ke paas paani hai.? magar kisi ke paas ek qatrah paani
bhi na tha. Aap sallallaho alayhi wasallam ne Hazrat Fatima radiallahu
anha se farmaya ke ek Sahabzaade ko mujhe dedo. unhone parde ke niche
se ek Sahabzaade ko de diya. Aap sallallaho alayhi wasallam ne unko le
kar seene se lagaya wo us waqt bahot ro rahe the. Aap ne apni zabaane
mubarak unke moonh me daal di. wo choos ne lage yaha tak ki unko
taskeen ho gayi. uske baad wo nahi roye lekin dusre Sahabzaade
ba-dasturro rahe the. Aap sallallaho alayhi wasallam ne usko bhi mujhe
dedo. unho ne dusre Sahabzaade ko bhi de diya to Aap sallallaho alayhi
wasallam ne unke bhi moonh me apni zabaan mubarak daal di jise woh
choosne lage aur taskeen paa kar khamosh ho gaye. uske baad in dono
Sahabzaado ke rone ki aawaz nahi suni gayi.
(Khasaise Qubra : jild-2, page-71 ;
Zikre Jameel : page-181)
No comments:
Post a Comment