Thursday, March 21, 2013

JHOOT MAT BOLA KARO

JHOOT MAT BOLA KARO
-------------------------------------------------

Islam mein jhoot bolna ek bada gunah maana gaya hai, quran aur hadees mein jagah-jagah isse bachne ke liye kaha gaya hai.

Quran - 
∗ Beshak Jhoot Bolne Wale Par Allah ki Laanat.
- : (Surh Aal-e-Imran, Ayat 61)

Hadees -
∗ Jhoot Se Bacho! bina kisi shak ke Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata He Aur Gunah Jahannam (hell) Me Pahunchane Wala Hai
-: (Abu Dawood)

∗ Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge,
Sirf Apni Zubaan (Yani Jhut) Ki Wajah Se … !!
-: (Tirmizi Sharif)

∗ Me Zamanat Deta Hun Jannat Ke Darmiyan 1 Ghar Ki, Uss Shaks ko jo Mazaak Me Bhi Jhuth Na Bole … !!
-: (Abu Dawod)

∗ Jab Koi Jhuthi Gawaahi Deta Hai, Toh Arsh Kaanpta Hai Aur Arsh Ke Farishte Gawaahi Dene Wale Par Laanat Karte Hai … !!
-: (Bage Jannat Safa.70)

∗ Apni Jhuthi Ta’arif Pasand Karna Sharike Haraam Hai, aur Uss Me Aakhirat Ki Barbaadi Ka Andesha Hai.
-: (Bukhari Sharif, Muslim Sharif)

∗ Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai Jo Baat Karte Huwe Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooth Bolta Hai.
-: (Mishkatul Masaabih)

∗ Ye Bohot Badi Khayanat Hai Ke Tum Apne Bhai Se Koi Jhooth Baat Bayan Karo, Halanke Wo Tumhari Baat Ko Saccha Samjhta Ho.
- (Abu Dowood)

Dua-
Ae Allah hum sabse ye gunah chalte-firte ho jata hai, ab to iski itni aadat ho chuki hai ki kab jhoot muh se nikal gaya, sochna bhi nahi padhta, iski burai hamare dilo se nikal gai, . Jhoot bolna aaj ki zarurat lagne lagi, bager jhoot ke lagta hai ki business mein, dosti mein, education mein nuksan ho jayega. Ae Allah, ye jitne bhi galat khyal hamare dilo mein hai wo nikal de, aur humko jhoot bolne se bacha.

No comments:

Post a Comment