JUMA MUBARAK
AAP sallallaho alayhi wasallam ne farmaya : juma ke din ek aisi ghadi(waqt) hai ki jo musalman us ghadime ALLAH ta'ala se bhalayi ka sawal kareto ALLAH ta'ala usko qubool karta hai.
(bukhari : al juma-935, muslim : 852)
duwa is umeed se ho ki ALLAH ko razi karna hai aur is yakeen se ho ke ALLAH sun raha hai. beshaq woh raham karne wala hai aur razeq aur rahim hai. uske khazane mein koi kami nahi. who jise chahta hai be hisab deta hai.
YA RAB tu humari fariyaad sun le
humari aah vizaari ko sun le
humare gunah maaf farma
humari khataon ko darguzar kar de
humare chhupe, khule, agle, phichhle, jaane aur anjaane mein huwe sab gunahmaaf kar de.
hume apni rehmat ke daaman mein chhupa le
hume raat aur din ke fitno se bacha
zingadi aur maut ke fitno se bacha
jinn aur insan ke fitno se bacha
humari jismaani aur roohani bimariyon ko sehat ataa farma
hume imaan aur amal ki daulat se malamal kar de
jo benamazi hai unhe 5 waqt ka namazi kar de
jo berozgaar hai unhe barkatwali rozi ataa farma
jo muflis hai unhe ghani kar de
jo be-aulad hai unhe nek swaleh aulad naseeb farma
jo bad kirdaar hai unke kirdaar ko durustkar de
YA RAB hume salaamati wala dil, tera zikr karne wali zabaan aur teri yaad mein rone wali aankhein ataa farma.
maa-baap ke nafarmabardaron ko unka farmabardar bana de
ujre huve gharon ko phir se basa de
humare bachchon ko paak daamani ataafarma aur unhe nek saathi ataa farma
har laa ilaaj bimaari se hum sab ko bacha
har aafat, har musibat,har pareshaani se nijaat ataa farma
YA RAB humari aakhari umr ko behtareen umr karna
aakhari amal ko behtareen amal karna aur humara behtareen din wo ho jis din hum tujse mile
jis tarah mere maa-baap ne bachpan mein mujhe paala hai tu bhi unke sath mohabbat aur safaqat ataa farma
hume hidayat ki raah dikha
taqwey ki zeenat se mazzyan kar de
uss ilm se jo nafa na de, uss dil se jo tujhse na darre aur uss nafs se jo sair na ho us se teri panaah mangte hai
YA RAB teri niyamat ke chhin jaane se, teri dee huyi aafiyat ke badal jaane se, tere azzabe naaghani ke aane se aur tere ghazab se teri panah maangte hai
YA RAB teri panaah chahte hai mukhalfat, nifaaq aur buri adaton se aur buri khwahishon se
YA RAB humko apne paas se khaas rehmat ataa farma aur mohayya kar de
humare kaam mein raahyabi badha, ghata nahi
humko izzat de zaleel mat kar
humko ataa farma mehroom mat kar
humse raazi ho ja
ILAAHI tu khol de humare liye apni rehmat barkat aur bakshish ke darwaze
hum tujse humesha ki niyamat chahte hai jo naa roki jaye aur na meete
qayamat ke din ka aman chahte hai
ILAAHI tu meri har baat sunta hai. mere thikane, mere baatin aur zaahir se khoob waqif hai
meri koi cheez tujse posheeda nahi hai
main tere dar ka bhikari, faryaad karne wala, panaah mangne wala, darrne wala, apne kasoor ka iqraar karne wala.. tujse maangta hoon mujh sawaali ko apne darwaaze se khali haath na bhej
humari duwa tu sun le.
AAMIN AAMIN AAMIN

No comments:
Post a Comment