Thursday, March 21, 2013

Jumma ki Fazeelat

Jumma ki Fazeelat ….
» Nabi-E-Akram Madni Aaqa Ne Farmaya, Har
Baaligh Par Juma Ke Din Ghusl Karna Waajib
Hai.
-: (Bukhari J:1 S:121)
» Juma Ki Namaz Juma Se Juma Tak Ke Liye
Kaffara Hai.Shart Hai Ki Gunahe Kabeera Se
Bacha Jaye.
-: (Muslim Sharif)
» Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad
Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Hai Woh
Lagw(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone
Ke Bad Baten Karne Wala Ghada (Donkey)
Hai.
-: (Ahmad,Tibrani)
» Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Is Pal
Main Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs
Juma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske
Liye Dono Juma Ke Darmiyan Ek Noor
Chamakta Rahega.
-: (Nisaai Sharif)
» Juma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhne Wale Ke
Pair Se Aasmaan Tak Noor Chamakta Rahega,
aur Dono Juma Ke Bich Jo Gunaah Honge
Woh Muaaf Honge.
-: (Nisaai,Ibne Majah)
» Juma Ke Dinraat Main 24 Pal Hai,Har Pal
Main Allah Ta’ala 600 Jahannamiyon Ko
Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.
-: (Abu Ya’ala)

Aap Subko Jumma Mubarak Ho duwa ka talib har momin hai Duwa me Subko Yaad rakhiye

No comments:

Post a Comment