Maa Baap Ke Saath Sulook
=======================
Maa Baap ke shukrguzaar rahiye,yeh sach hai ke hamare wujood ka nazar aane wala sabab Maa Baap hain phir Maa Baap kee parwarish aur nigraanee mein ham palte badhte hain aur jis gair mamooli kurbaani aur badee mohabbat se hamaree parwarish karte hain uska takaza hai ke hamara seena unkee aqeedat wa ehsaanmadee aur badappan wa mohabbat se bhara hua ho aur hamare dil kee nas nas unkee shukrguzaar ho, yehee wajah hai kee khuda ne apne shukrguzaaree ke saath saath unkee shukrguzaaree kee takeed farmayee hai-
"HAMNE WASIYAT KEE KE) MERA SHUKR ADA KARO AUR APNE MAA BAAP KE SHUKRGUZAAR RAHO " (31:14)
Hazrat Abu Umama (RA) farmate hain ke eik aadmee ne Nabee(SAW) se poocha "Aey Allah ke Rasool ,Maa Baap ka aulaad pe kya haq hai ?" AAP(SAW) ne farmaya "Maa Baap hee tumharee jannat hain aur Maa Baap hee tumhaare dozakh." ( Ibn Majah)
Yanee Maa Baap ke saath nek sulook karke tum jannat ke haqdaar hoge aur unke haqo ko maarkar tum Jahannamm ke Eedhan banoge.
YA ALLAH HAME ITNEE HIDAAYAT DE KEE HAM APNE MAA BAAP( YA JO BHE EIK ZINDA HO) KE SAATH HAMESHA ACHCHA SULOOK KARE..UNSE KISI BAAT MEIN UFF TAK NAA KARE..AUR AULAD HONE KA HAQ ADA KAREN...AMEEN
No comments:
Post a Comment