Wednesday, March 20, 2013

Maa Baap Ke Saath Sulook


Maa Baap Ke Saath Sulook
=======================
Hame Maa Baap ke saath achcha sulook karna chahiye aur hame is sulook kee taufeek mili hai to ise dono duniya kee sa'adat samajhiye.Maa Baap ke Haq kee ahmiyat aur badhayee isse kijiye kee Quran Paak mein jagah jagah Maa Baap ke Haq ko Khuda ke haq ke saath bayaan kiya gaya hai aur khuda kee shukrguzaaree kee taakeed ke saath saath Maa Baap kee shukrguzaaree kee takeed bhee kee hai-

"AUR TUMHAARE RAB NE FAISLA FARMA DIYA HAI KE TUM KHUDA KE SIWA KISI KEE BANDAGEE NA KARO AUR MAA BAAP KE SAATH ACHCHA SULOOK KARO" (17:23)

Hazrat Abdulla Bin Masood(RA) Kahte hain kee maine Nabee(SAW) se poocha "Kaun sa amal khuda ko sabse pyara hai?" Nabee (SAW) ne farmaya "Woh Namaaz jo waqt par padhee jaaye" Maine phir poocha "Iske baad kaun saa kaam khuda ko sabse zyada pasand hai ?" Farmaya - Maa Baap ke saath achcha Sulook. Maine poocha "iske baad ?" Farmaya-"Khuda kee Raah mein Jihaad Karna" (Bukharee, Muslim)

Hazrat Abdulla (RA) farmaate hain ke eik aadmee Nabee(SAW) kee khidmat mein haazir hua aur kahne laga - "Main Aapke saath Hijrat aur Jihaad ke liye Bait karta hoon aur khuda se uska badla chahta hoon" Nabee(SAW) ne poocha " Kya tumhaare Maa Baap mein se koi eik zinda hai" Unhone kaha "Jee haan balkee khuda ka shukr hai dono zinda hain" AAP(SAW) ne farmaya "To kya wakayee tum khuda se apnee hijrat aur Jihaad ka badla chahte ho" Unhone Kaha "Jee haan" Nabee(SAW) ne irshaad farmaya "To jaao apne maa baap kee khidmat mein rah kar unke saath achcha bartaaw karo" ( Muslim)

YA ALLAH HAME ITNEE HIDAAYAT DE KEE HAM APNE MAA BAAP( YA JO BHE EIK ZINDA HO) KE SAATH HAMESHA ACHCHA SULOOK KARE..UNSE KISI BAAT MEIN UFF TAK NAA KARE..AUR AULAD HONE KA HAQ ADA KAREN...AMEEN

No comments:

Post a Comment