Thursday, March 21, 2013

maa

Kabr ki agosh me jb thak ke so jati hai maa
tb kahin ja kr zra thoda sukun pati hai maa

fikr me baccho ki kuch aisy hi ghhul jati hai maa
nau-jawan hote huye boordhi nazar aati hai maa

rooh k rishto ki ye gahraiyan to dekhiye
chot lagti hai hamare aur chillaati hai maa

kab zrurat ho mere bacche ko itna soch kr
jagti rhti hain aankhe aur so jati hai maa

ghar se jb prdes jata hai koi noor-e-nazar
hath me quran le kr dr pe aa jati hai maa

jb pareshani me ghir jate hain ham pardes me
aansuo ko pochne khwabo me aa jati hai maa

chahe hm khushiyo me maa ko bhool jayn dosto
jab musibat sar pe aa jaay to yaad aati hai maa

shukriya ho hi nahi skta kbhi uska ada
mrte mrte bhi dua jeene ki de jati hai maa

mrte dam baccha na aa paay agar prdes se
apni dono putliyan chaukhat pe rakh jati hai maa

No comments:

Post a Comment