Bharat me Prithviraj Chauhan ko maha parakrami raja mana jata hai jabki uski sena ke mukable aadhi sena ke sahaare Prithviraj ko parajit karne wale Mohammad Gori ko dhoort aur makkar mana jata hai . halanki mujhe samajh nahi aata ki Prithviraj mahan raja kaise tha ? kya apne he desh ke gahadwalo, chandelo aur chalukyo se unka rajya chheen-ne ko yuddh karne ke kaaran wo mahan hua ? ya Aalha-Udal jaise veero ki hatya kr dene se Prithviraj mahan hua ? ya raja Jai Chandr se yuddh kar ke uski beti Sanyogita ka apharan kar lene se wo mahan hua ? ya fir parmar rajkumari se shadi karne ke liye gujrat ke shasak Bheem II se yuddh karne ke kaaran wo mahaan tha ?
Prithviraj ne apni janta ki bhalaai ke liye kya kya kam kiye ??? jabki
Gori ne bharat me nirankush rajsatta ka ant kar ke prajatantr ka bharat me aarambh kia . ''Gori ne apna koi uttaradhikari bhi ghoshit nahi kia tha, uski mrityu ke baad janta ne apni pasand se apna shasak Kutubuddin Aibak naam ke ek gulam ko chuna, jo bahot veer udaar hriday aur daani shasak tha'' ( Bharteey Itihas, Nagendr Pratap Singh, Page:79 )
Turko ne uttari bharat ke rajpooto se yuddh jeet kr un shaharo ke dwar har ek jaati ke logo ke liye khol diye jin shaharo me rajpooti shasak bahot se heen jaati ke logo ko achhoot kah kr pravesh nahi krne dete thy . gori ne Islami niyam ke mutabik sab logo ko ek samaan mante hue sabhi ko ek samaan adhikaar diye . isi kaaran bharat ki achhoot jaatiyo ne turko ka swagat kia aur turko ke sath nagaro ke nirmaan me badh chadh kr sath dia. itihaskar is ghatna ko ''Nagareey Kranti'' kahte hain ( Dilli Saltnat, Habib Nizami, page :158 )
mana jata hai ki Gori ne hindu janta pe atyachar kiye honge magar aisa bilkul nahi hai Gori ne hindu janta ko pura prem aur Suraksha di, Gori ne dharmik sambhaav ki bahot badi misaal pesh ki ''Mohammad Gori ke sikko par ek taraf kalima likha rahta tha aur dusri taraf hindu devi Lakshmi ki aakriti bani rahti thi'. ( Bharteey Itihas, Nagendr Pratap Singh, Page:71 )
Read for hindi on my blog visit
ReplyDeleteππππclick
Historyindiaworld.blogspot.com