Hazrat Abdullah Bin Umar (RaziALLAHU Anhu) se riwayat hai ki RasulALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaya : Kya main tumhe we Wasiyat na bataaun jo (Hazrat) Nooh (Alaihis'salam) ne apne bete ko ki thi ?
Sahaba (RaziALLAHU Anhu
) ne arz kiya : Zaroor Bataiye !
Irshaad Farmaya : (Hazrat) Nooh (Alaihis'salam) ne apne bete ko wasiyat main farmaya : Mere BETE! tumko do kaam karne ki wasiyat karta hoon aur do kaamo se rokta hoon.
Ek to main tumhe "La ILAHA ILLALLAH" k kehne ka huqm deta hoon, Kyunki agar ye kalima ek palde main rakh diya jaye aur tamaam aasmaan wa zameen ko ek palde main rakh diya jaye to kalima wala palda jhuk jayega, Aur Agar tamaam aasmaan wa zameen ka ghera ho jaye, To bhi ye kalima is ghere ko tod kar ALLAH TA ALA tak pahunch kar rhega.
Dusri chiz jiska huqm deta hoon weh "SUBHANALLAHIL AZEEMI WA BIHAMDIHI" ka padna hai, Kyunki yeh tamaam makhlook ki ibadat hai aur isi ki barkat se makhlukaat ko rozi di jati hai.
Aur main tumko do baaton se rokta hoon SHIRK se aur TAKABBUR se, Kyunki ye dono buraiyan bande ko ALLAH se door kar deti hain. {Bazzaar, Mazmuzzbaeed}
No comments:
Post a Comment