Thursday, March 21, 2013

¤ sohbat (sambhog) karne ka islami tariqa ¤


¤ sohbat (sambhog) karne ka islami tariqa ¤

Huzoor sallallaho alayhi wasallam ne irshad farmaya tum me se jo koi apni biwi ke paas jaye to parda kar le aur gadhe ki tarah na shuru ho jaye.
(Ibne Maja : jild-1,page-538 , hadees-1990)
Ummul Momenin Hazrat Aayesha Siddiqa radiallaho anha se riwayat hai ki Huzoor sallallaho alayhi wasallam ne irshad farmaya jo mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta hai to Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta hai.
jab mard pyar se apni aurat ke gale me hath dalta hai to uske haq me 10 nekiya likhi jati hai. aur jab apni aurat se sohbat karta hai to duniya aur jo kuch usme hai un sabse behtar ho jata hai.
(Gunyatut talebin : page-113)

sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se pyar mohabbat ki batchit kare fir boswa kinar(kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye duwa padhe :
Bismillahil aliyul azime Allaho Akbar Allaho Akbar.
tarjuma : Allah ke naam se jo buzurg wa bartar ajmatwala hai. Allah bahut bada hai. Allah bahut bada hai.
iske baad jab mard aurat sohbat ka irada kar le to kapade jism se alag karne se pehle ek martaba Surah Ikhlas padhe.
Surah Ikhlas padhne ke baad ye duwa padhe
Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma razak tana.
tarjuma : Allah ke naam se. aye Allah door kar humse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us aulad se jo tu hume ata karega.
(Bukhari sharif : jild-3, page-473)

Hazrat ibne Abbas radiallaho anhu se riwayat hai ke Huzoor sallallaho alayhi wasallam ne irshad farmaya jo shaks is duwa ko sohbat ke waqt padhega (duwa wahi jo upar likhi hai) to Allah us padhne wale ko agar aulad ata farmaye to us aulad ko shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega.
(Bukhari sharif : jild-3,page-85 ;Tirmizi sharif : jild-1,page-557 )

Huzoor Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate hai
agar koi shaks sohbat ke waqt duwa na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata hai aur us mard ke sath shaitan bhi us aurat se sohbat karne lagta hai aur jo aulad paida hoti hai woh na farman,buri aadatwali,begai rat,bad-deen hoti hai. shaitan ki is dakhl andazi ki wajah se aulad me tabahkari aa jati hai.
(Gunyatut talebin : page-116, Fatwae razviya : jild-9,page-48)
inzal (mani nikalte waqt) ki duwa : jis waqt inzal ho yani mard ki mani uske uzoo-e-tanasul se nikal kar aurat ki sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye duwa padhe : Allahumma-la-ta ja'al lish shaitani fim razkatni nasiba.
tarjuma : aye Allah shaitan ke liye hissa na bana usme jo(aulad) tu hume ata kare.
(Hisne Hasin : page-165 ; Fatwae razviya : jild-9,page-161 )

No comments:

Post a Comment