Thursday, March 21, 2013

Har jaanadar ke sath raham krne pe sawab milta hai.

Rasool e khuda s.a.w. Ne farmaya ki-
Ek aadmi rasty me ja rha tha aur bahot zyada pyasa tha, usne idhar udhar dekha to usy ek kuwa'n dikha . Woh usme utar gaya aur pani piya kyunki wahan dol ( bartan ) aur rassi nhi thi . Jab wo kuwyn se baahar aaya to dekha ki ek kutta pyas ki wajah se zuban nikale huye bhigi hui mitti kha rha hai 

us aadmi ne socha ki is kutty ko bhi utni shadeed pyas lagi hai 
jitni mujhe lagi thi , ye sochkar wo faurn kuwyn me utar gaya aur apne chamde ke mozo'n me pani bhar ke laya aur us kutty ko pilaya to Allah ne us ke is amal ki qadr ki aur uski magfirat farma di .
logo ne pucha ki chaupayo pe bhi raham krne pe sawab milta hai ??

Aap s.a.w. Ne farmaya- "Har jaanadar ke sath raham krne pe sawab milta hai."

........ (BUKHARI aur MUSLIM)

No comments:

Post a Comment