Zam zam ka chashma jari hue 4000 Saal guzar chuke hain . Rozana beshumar log iska pani peete hain , fir ye pani tabarruq ke taur pr kamobesh duniya ke har hisse me pahochta hai . Iske bawajood subhan Allah, registan ke is pani ki miqdar me kabhi kami nahihui . Kuwan hamesha pani se bhara rahta hai !
aab e zam zam sirf pyas he nahi bujhata balki ye kai bimariyo ka ilaaj bhi hai . Ye jism ko faida pahochata haiaur hazme ko thek krta hai .
Rasool e khuda Pbuh ne farmaya "aab e zam zam me barkat hai ye ser krne wali giza hai" ( sahih muslim ) Aap s.a.w. Apne hatho se dol kheech kr aab e zam zam ko pia krte thy . Aab e zam zam ko baith kr peene ki bajaay khade ho kar peena sunnat hai ( Abdullah bin Abbas rzi. Se riwayat hai ki Nabi P.b.u.h. Khade ho kr aab e zam zam peete thy )
medical tests ke mutabik isme sehat keliye faaydemand hasb e zail minerals hote hain
MAGNICIAM SULPET- jismani garmi, Qai, matli, sardard door krta hai, sehat ke liye nuksandeh germs ko jism se khatm krta hai
SODIYAM SULPHET- kabz kholta hai, jodo ke dard, suger, pathri, khooni pechish ke marzo me dawaa ka kam krta hai
SODIYAM CLORIDE- jism ki kamzori door krta hai, saans, hazme, khoon ke marzon me faayda krta hai pet dard me b faida krta hai
CHALCIAM CARBONATE- loo, jismani garmi ko khatm krta hai , har kism ki pathri ko todta hai, jodo ke dard me aaram deta hai, hazma badhata hai
POTACIAM NITERATE- zam zam ko thanda rakhta hai, thakan aur loo ke asar khatm krta hai, paseena lata hai aur peshab lata hai, dama me mufeed hai
HYDROGEN SULPHIED- skin ki tamam beemariyo me faida krta hai, bahot si bimariyo ke germs ko marta hai zukaam me raahat pahochata hai, yaddasht badhata hai, bawaseer ke marz me fayda krta hai. Dimag tez krta hai. Bhook badhata hai . Hydrogen sulphied taza aab e zam zam me zyada paya jata hai
No comments:
Post a Comment